MS Word Practical Assignment
Instructions:
- Har question ko dhyan se padh kar complete karein.
- Har practical task ko ek nayi MS Word file mein karein aur uska naam "Assignment_YourName" rakhein.
- Assignment submit karne ki final date: (Aap apni date dal sakte hain)
Questions
1. Document Formatting:
Ek document banaiye jo aapke institute ke bare mein ho (50-70 words). Is document mein:
a)Title ko Bold aur Font Size 16 kariye.
b)Content ka Font "Calibri" aur Size 12 kariye.
c)Line spacing 1.5 rakh kar text justify karein.
2.Table Creation:
Ek table banaiye jisme 5 students ke naam, unke roll numbers, aur unka total marks diya ho. Table ko center align karein aur Border style change karein.
3.Insert Picture:
Apne computer se ek image insert karke uska size 5 cm x 5 cm set kariye aur image ke niche caption add karein: "This is an example image".
4.Header and Footer:
Ek document mein Header mein apne institute ka naam likhiye aur Footer mein page number insert kariye.
5.Bullets and Numbering:
Ek list banaiye jisme aap apni 5 favourite hobbies likhein. List ko Bullets mein convert karein. Phir, ek alag list banaiye jisme aapne pichle 5 dino mein kiye kaam likhein aur usse Numbering mein convert karein.
6.Page Layout Settings:
Ek document mein Page Orientation ko Landscape set karein aur Margin ko Narrow rakhein. Us document mein ek paragraph likhein jo 100 words ka ho.
7.Text Highlighting:
Ek paragraph likhiye jo 50-60 words ka ho aur uske important keywords ko highlight karein (Yellow color use karein).
8.Shapes and SmartArt:
Ek Shape insert kariye aur usme "Learning is Fun" text add karein. Uske baad ek SmartArt diagram insert karke usme 3 steps likhiye: Start, Process, Finish.
9.Find and Replace:
Ek paragraph type karein jisme 100 words hon. Phir "Word" ko "MS Word" se replace karein using the Find and Replace feature.
10.Spelling and Grammar Check:
Ek paragraph likhiye jisme 5 intentional spelling mistakes ho. Spelling and Grammar tool ka use karke unhe correct kariye.
Assignment Completion Note:
Aap apni file ko save karne ke baad ek email ya pendrive ke zariye instructor ke saath share karein.
0 Comments